Kaash kabi kuch aisa ho jaye,
jab bi main karon use yaad, khabar koi usey ho jaye
Guzartey kisi rah sey akeley,
kisi anzaan mod par wo mujhe mil jaye,
Nah rahe fir humein kisi aur ki parwaah,
Is kadar ik douje ki nazron mein kho jaye!!
Kaash kabi kuch aisa ho jaye...
Geyhra ho purana bohot rishta humara,
Iss tarah baaton ka daur shuru ho jaye,
Rahey nah humein fir waqt ki sudh-budh,
Aur subah sey shaam ho jaye!!
Kaash kabi kuch aisa ho jaye...
Dekh kar fir maukey ki nazakat,
Waqt vahin thama-thama sa reh jaye,
Nah dekha ho kudrat ney aisa pehle,
Rishta darmiyan kuch aisa ban jaye!!
Kaash kabi kuch aisa ho jaye...
Ho jaye yeh mera sapna sach,
Dua'on ka kuch iss tarah ka asar ho jaye,
Umar bhar Khuda ki rehmat sey,
Saath mujhe uska naseeb ho jaye!!
Kaash kabi kuch aisa ho jaye,
jab bi main karon use yaad, khabar koi usey ho jaye!!